How To Recover All TikTok Videos in 2021 | Tik Tok Se Purani Video Kaise Recovery Kare 2021 Hindi | EdiTech House....
So guys Mera naam hai aamir choudhary or welcome karta hu mai aap sabka aapne aaj ke is blog me (my editech house) To Guys aaj ke is article me main aap bataunga ki aap 2021 ke andar tiktok se apni sabhi purani videos ko kaise recover kar sakte ho wo bhi bilkul free or bina id ko login kiye to article ko pura padhna step by step aapko bataunga ....
To Guys sabse pehle aapko ye karna hai ki aapko apne phone me ek vpn ki jarurat padne wali hai kyuki hum bina id ko login kiye tiktok videos ko recovery karenge...to sabse pehle to ye jaan lo ki vpn hota kya hai...
What is VPN ?
To Dosto VPN Ek Aisa app hota hai jiski madad se hum ban app ko chala sakte hai..or sath hi kisi bhi country ke server se connect kar sakte hai...yani agar india me tiktok ke server ban hai to hum kisi or country jaise singapoure etc ke server apne phone se connect kar sakte hai or ban site or ban apps ko use kar sakte hai...To guys aapko play store par boht sare vpn mil jaenge lekin mai yaha par aapko ekbest vpn ke bare me bata deta hu jo bilku free hai jiska naama hai (SUPER VPN) Direct Play Store Se Bhi download kar sakte hai aap ya yaha pr mai link de raha hu is link se bhi kar sakte hai..DOWNLOAD HERE
How To Use & Connect SUPER VPN ?
Note> Aap Chahe To YOutube par meri videobhi dekh sakte hai ..agar aapko acchi lage to like kar dena..
Click Here To Watch My Video
Step 1 > Sabse Pehle to aapko super vpn ko open karna hoga..
Step 2 > Open Karne ke bad aapko continue par click karna hai..
Step 3 > TO guys continue par click karne ke bad aapko vpn connect karne se pehle apko contry select karna hai....
Step 4 > To guys contry select karne ke bad ab aapko vpn ko connect karna hai..
Step 5 > To guys ab aapka vpn connect ho chuka hai..
Tik Tok Kaise Chalaye ?
How To recover all tiktok videos...
To guys ab main aapko bataunga ki aapko kya karna hai.puri proccese mai aapko screenshot ke sath bata raha hoon..
Guys aapko vpn connect karne ke bad apna google open karna hai ..
Aapko google ke andar ye URL Type Karna hai..
Yaha maine apna username type kiya hai aapko apna username type karna Hai..
https://www.tiktok.com/@its_me_aamir
To guys aap dekh sakte hai url type karne ke bad direct meri tiktok ki profile open ho gyi hai na hi yaha maine apni id ko login kiya or na hi koi password enter kiya...
Ab yaha par aapki sabhi video aa jaengi to jo bhi video ab aapko download karni hai us video ko aapko play karna hai ..
Ab aapko apni video me share ke option par click karna hai..
Share ke option par click karne ke baad aapke samne kafi sare option aa jaenge aapko copy Link par click karna hai....jis se aapki video ki link copy ho jaegi.
Ab aapko apne phone me chrome browser open karna hai..or MUSICALLY DOWN Search Karna hai..or pehli website par click karna hai.
To guys musically down ki website par aane ke baad aapko isme link paste karne ka option aa jaega to aapne jo link copy kiya hai usko paste kar dena hai..
Search par click karne ke bad aapko aapki video ka preview dikhaya jaega ki aapne jo link paste kiya hai wo video yahi hai ya nhi.
Iske baad aapko scrol down karna hai or aapke samne 3 option aa jaenge aapko DOWNLOAD MP4 NOW Par click karna hai..iske bad ek ad aayega aapko us add ko skip karna hai jaise hi skip karoge video downloading start ho jaegi
To guys finally hamari video download ho chuki hai ab ye video aapki gallery me aa jaegi or bina watermark ki hogi